Always remember Gemstone hamesha question or purpose pe depend karta hai. Jo person apke samne baitha hai wo jis purpose ko poora karna chahta hai uske according hi Gemstone suggest karna hai.
Hmne Jamini Jyotish ke planets ke according describe kiye hai houses and benefits of Gemstone.
Note: Gemstone se Bhagyaa badalta nahi hai. Yeh apke अवचेतन मन (Subconscious Mind) ki programming wese kar deta hai jis kaam ko ap karna chahte ho. Thats it.
So please read below carefully.
In Jaimini Jyotish (जैमिनी ज्योतिष)
Atamkarka आत्मकारक
Kundli me jo highest degree ka planet hai usko hum Atamkarka आत्मकारक bolte hai.
Atma means self and karka means significator. To Atamkarka ka matlab self significator. It means self ki baat aayi to yeh 1st house ko lekar chal raha hai.
in Short: Jo highest degree ka planet hai wo Atamkarak hai an 1st house hai.
Atamkarak planet ko active karne se means iska stone pehanne se apko apni personality me improvement dikhegi.
Amatyakaraka (अमात्यकारक)
Now Hme dekhna hai ki Atamkarak se kam degree wala planet kon hai. Jese Example: Jupiter kundli me higest degree ka planet hai Jupiter 27.30 Degree and uske baad jo degree hai Venus 26.56 degree to Venus ho gya second highest degree planet jisko Jaimini Jyotish (जैमिनी ज्योतिष) me (अमात्यकारक) Amatyakaraka planet of your profession bolte hai.
And Amatyakaraka planet in Jaimini Astrology signifies 2nd house, 10th house and 11th house in your Birth chart.
Yani wealth, profession and Gains is Amatyakaraka planet ke pass hai. Yeh akela planet apke career ko handle karta hai.
To theory yeh kehti hai ki agar kisi ki requirement hai career me Progress karni hai to usko Amatyakaraka ka Gemstone dalwa sakte hai.
Ab yaha yeh question aayega ki agar Amatyakaraka planet 6th house, 8th house ya 12th house se relation bana raha ho to Gemstone kese recommend kare.
Iska simple answer yeh hai ki apke career ki Progress 6,8 and 12th house se hi hogi. Agar Amatyakaraka planet is houses ke relation me ho.
Bhratru Karaka (BK)
Now 3rd highest degree planet apki kundli me jo hota hai usko Jamini Astrology me Bhratru Karaka (BK) (Bhai)
name se pata chal jata hai yeh 3rd house ko show kar raha hai and siblings ko show karta hai.
3rd house is for efforts so this planet will help you to put right eforts, so agar ap iska Gemstone pehante hai to ap active ho jayenge. Yeh Gemstone phir Bhratru Karaka (BK) planet ka pehnege.
Matrukaraka (MK)
Matrukaraka (MK) is the planet with the fourth-highest degree in the birth chart
Yeh 4th house and Mother ko represent karta hai.
Property, Emotions are the mainly problems from 4th house.
In short agar 4th house ki problem sata rahi hai to this is planet Matrukaraka (MK) jisko activate karna hai ya Gemstone suggest karna hai.
Putrakaraka (PK)
Putrakaraka (PK) is the planet with the 5th highest longitudinal degree in the birth chart
Jin logo ko child related issues hai, Ya bacho se problem, ya education se issue to Putrakaraka (PK) planet hai jo help karega.
Jin females ko Child conceive karne me problem hai, ya bacho ki problem hai to Putra karaka planet help karega.
Gnati Karaka (GK) - ज्ञाति कारक
ज्ञाति कारक - Gnati Karaka (GK) is the planet with the 6th highest degree (or second lowest) in the birth chart
Yeh 6th house, 8th house and 12th house ka karak hai. The most dangerous planet in chart.
Normally iska gemstone avoid karna hai chaye ye KP Chart me 2,6,10,11 number bhi de raha ho tab bhi.
Is planet ko activate nahi karna hai koi bhi Gemstone nahi pehanne hai iska kabhi.
Darakaraka (DK)
Darakaraka (DK) is the planet with the lowest degree in the birth chart
Darakaraka (DK) signiication off 7th house - the house of relationship. Darakaraka (DK) is the last degree planet.
Final Note About Gemstones
Basically Gemstones apke kaam ko direction deta hai. Kaam aur mehnat apko hi karni hai Gemstone nahi karega.
Bhagya Align hota hai - Baddalta nahi.