Medical Astrology Using KP Astrology - चिकित्सा ज्योतिष केपी ज्योतिष का उपयोग करके

Medical Astrology Using KP Astrology

3 Types of Food we Have:

Sattvic (Pure, Light), Rajasic (Stimulating उत्तेजक), and Tamasic (heavy, Spicy)

वात - पित्त - कफ Vata - Pitta - Kapha दोष related planets in Astrology

Vaat ((वायु+आकाश)) (वात)

Isse jude hue 2 planet hai: Saturn and Rahu because yeh Windy planet hai  - When Saturn Mahadasha and antradasha people say usually - body pain ho rahi hai, Joint pain, Pairo me pain etc complaints karta hai person.

काली उड़द की दाल - पंजाबी में, इसे 'माह दी दाल' कहा जाता है apke body me Vaat ki pradhanta ko badate hai.

Pitta (अग्नि+जल) (पित्त) -

Sun, Mars and Ketu planets and problems they give generally - jo log kehte hai ki kuch bhi kha le unko Acidity ho jati hai. That means inki body पित्त Pradhan hai. 

Kapha (जल+पृथ्वी) (कफ) -

Moon and Venus planets are responsible for Kapha.

Mercury agar saturn ke saath hai to wo Vaat ki tara behave karega same or other planets. Kyuki yeh jis planet ke saath hota hai uski tara behave (व्यवहार) karta hai.

Jupiter vaat bhi deta hai and kaf bhi deta hai.

Also Jupiter agar Mars ke saath aa jaye to wo bhi mercury ki tara usi planet ka signiicance behave kar sakta hai. is case me mars ke saath aane par wo (पित्त) ki tara behave karega.

Mercury Planet Represents:

Nervous system, Respiratory system, Spondylitis, Cervical, Epilepsy, Asthma, Speech problem

Insomnia ka ek karak mercury bhi hai, Moon is Depression where Mercury is Acute depression. Jab bahut negative houses ke saath connect hai to kafi challenges dekhne ko milenge.

Example From KP System: Agar mercury 4th house me hai and uska Nakshatra lord 6th house me baitha hai to Mercury ki antradasha me isko chest related problem ho sakti hai ya lungs related ya Respiratory system (मानव श्वसन तंत्र) ka issue ho sakta hai. Yaha Mercury 4th house me hai yahi 4th house body part ka chest area hai. and 6th house me Nakshatra lord hai jo ki bimari hai hai,

4th house - Chest area

6th house - Disease

Mars Planet Represents:

Liver, Blood related, Digestive system, BP issue, Migrane, Jab Mars 8th aur 12th house se connect karta hai to surgery kara sakta hai, Agar 6th house se Mangal connect hai to BP ka issue, Jin females ko natural cycle ke andar problem aati hai ya blood loss zyada hota hai us case me Mangal 8th house se connect milega, 

Apki body me cuts ke nishan hai wo bhi mangal se.

Jupiter Planet Represents:

Cholesterol, Weight Gain, Mainly jab 6,8, 12th house se connect ho to issue aata hai Cholesterol ka. 

Liver, Enlargement of Organs like Fatty liver, Agar extremely negative ho jayega to yeh cancer tak le jata hai. Kyuki cancer me multiplication hoti hai like growth toh yeh growth Jupiter planet karata hai.

Sun Planet Represents

Heart, Hyper Acidity, Bones, Calcium Deficiency

Medically proven hai jo Log Surya Namaskar karte hai unke andar Calcium deficiency khatam hone lagti hai.

Moon Planet Represents

Neend (Insomnia), Negative thoughts (Mainly when moon in 8th house), Zyada Negative ho jaye to yeh Depression, Anxiety, Lunatic (पागल मनुष्य), Cough and Cold, Mood Swings.

Female ko Cyst ka problem maily Moon se, Breast Cancer again Moon Planet se,  

Venus Planet Represents

Harmones, Kidney, Thyroid, Skin Issues, Tonsillitis, Sugar, Frequest Urination

Agar Venus me Negativity hai to yeh Productivity kam karta hai yaha productivity ka meaning jisse child born hota hai - in Men case Sperm Count loss, In Female - Ovum (egg cell) 

Sexually transmitted diseases (STDs) -  isme bhi venus ka role hai.

Agar venus 6th house se connect hai to chote mote skin issues ho sakte hai, lekin agar 8th house se connect hai to psoriasis jese issues de sakta hai.

Saturn Planet Represents

Saturn planet ka common Phenomena hai Darr jise hum phobia bhi keh sakte hai. Yeh aam tor par aisi baate karte hai  - Mai to theek ho hi nahi sakta, mera ilaz hi nahi hai. that is saturn planet.

Satuen maan lijie 6th house ko show kar raha hai Nakshatra level par to yeh Bimari dega.

Satrurn apne ap me karak hai 6th house, 8th house and 12th house ka.

Saturn apne time me joint problem deta hai, Agar Saturn 6th house, 8th house se connect hai usko Major Arthritis ho jayega.

Saturn Vaat ko represent karta hai. jo chize Vaat ko badati hai wo saturn ke time period pe avoid karna hai.

Rahu And Ketu Planets

Rahu And Ketu jis rashi me baithe hai us rahi ke lord ki tara behave karenge

Example: Rahu agar 6th sign me hai to yeh mercury ki tara behave karega 

Agar Rahu and Ketu planet 6th CSL ka NL hai to uske sign lord ko consider karenge. 

Example: Rahu or Ketu Leo Sign me hai to Leo ka Dign lord Sun Planet ho gya.

Agar Capricorn sign me hai to sign lord Saturn ho gya and so on.

Coming to The KP Chart in Medical Astrology When There Will Be Disease

1. Agar KP Chart me 6th CSL apka Mercury planet hai to multiple disease ho sakti hai. Kyuki Mercury ka kaam multiple karna hai. Shaddi karta hai to multiple, money deta to to multiple similarly Disease bhi mercury.

2. Hamare pass 3 houses hai to yeh batate hai ki yeh insaan bimari rahit Jeevan jeaga. Yeh 3 houses hai 1, 5 and 11 and 9th house bhi le sakte hai. 9th house bhi God Grace ko dikhata hai. Lekin Kuch Lagan aise hote hai jisme 9th house Badhak bhav ban jata hai. Overall kehna yeh chahte hai ki agar 1st house, 5th house , 9th house and 11th house dikha raha hai apka KP chart in Mahadasha aur Antar dasha me to hum keh sakte hai ki is person ko Bimari nahi hogi. Agar hogi bhi to choti moti hogi. 

In Case Movable Lagna: Jese 1, 4,7, 10 lagar ke hai to apke liye 11th house hamesha accha karya nahi karega. Wo apke liye Mrityu tulya Lasht bhi la sakta hai. Yani ki Moveable Lagan me 11th house accha karya nahi karega.

In case fixed Lagna 2, 5, 8, 11 inke according 9th house very bad. Yeh apka Badhak House ( house of obstacles and बाधा) hai 

Agar ap Aries (1) number Lagan ke hai suppose and apka 6 , 8, 12 operate kar raha hai to yaha pe 11th house ka judna apke liye khatarnak ho sakta hai.

Same Aries lagan mein agar ap acche houses lekar chal rahe hai jese 1, 5, 9 - to yaha par 11th house badhak ka kaam nahi karega, Yaha par support karega. 

3. Agar 6th CSL 6th house dikha raha hai to yeh apko disease dikha raha hai.

Agar 8th bhi hai saath me to yeh disease ke saath Pain bhi

Agar 12th bhi hai saath me to hospitalization dikha raha hai.

That means jab 6th, 8th and 12th house saath dikha raha hai to badi samasya hai.

4. Agar 1st house 5th house, 11th house aa raha hoga to hum keh sakte hai ki isko koi khaas bimari nahi hogi.

5. Second house apko insecurity deta hai in terms of health. Because it negates the 3rd house of courage. And Also Second house is Marak house.

6. 4th house is most dangerous house. Because it shows the end of healing also it makes you a serious personality. Iski Remedy hai ek: Apko pata hai ki 4th house apki healing rok raha hai to isko ghumne ke liye bolo. Jese hum Hawa pani badalne ke liye bolte hai. In simple words hum 3rd house acivate karenge. 3rd house 4th house ko Negate karta hai. 

When Disease Will Be Cure

1st house represent your Body

5th house represent healing to your body as it negates the 6th house of disease.

9th house as it always God Grace in your chart. and it also represent your Luck.

11th house is the best house as it represent the fast recovery from disease and also negate the 12th house.

Apart from the above said houses there is another house we observed that plays a important role and that is 3rd house. Becasue 3rd house represent Strenght and Courage. When it operate a person even in diseased condition do not loses hope and the person is very confident that he will be fine. 

In simple words yeh person Himmat deta hai bimari ke samay. 

Thereore 1,3,5,9,11 is an ideal combination of recovery from disease.

Examples Of Some Diseases Throught KP House Numbers

Lets say we have seen the below combinations through Antra Dasha

Moon Mahadasha Period

Moon = 4, 10

Jupiter = 3, 6 Disease

Venus = 1,8, 5 - Cough and Cold, Depression, Insomnia.

Now Mars Mahadasha Period

Mars  = 2, 3, 7

Saturn = 4, 5, 9

Sun = 3, 11

Example me hum batana yeh chahte hai ki Moon periosd ki script me isko disease ho sakti hai and jese hi Mars ki dasha aayegi iske recovery houses show ho rahe hai. Yani Mars ki script me. 

Treatement To Choose As Per Cuspal Sub Lord (CSL) In KP Astrology

  1. Agar kisi ka Sun 5th CSL hai to unko Allopathy treatement lene ke liye bol sakte hai 
  2. Agar Moon or Venus 5th CSL hai - To Homeopathy suggest kar sakte hai - Wese Moon and Venus ke case me ap Liquid Medicine bhi bol sakte hai,
  3. Agar Apka 5th CSL Mars hai - Then Apko Physical workout recommend hai but agar bimari zyada hai to workout ke saath surgical intervention ki need pad sakti hai. Normally jab Mars 5th CSL banta hai to Injection se bhi relief milta hai 
  4. Agar 5th CSL Rahu aa jaye to Jhada (झाड़ा) lagana and Unani medicine kaam karegi.
  5. Agar 5th CSL Jupiter and Ketu hai to apke liye Ayurveda bhi kaam karega. Ketu ke case me Mantra Reciting bhi acchi help karega.
  6. Agar 5th CSL Saturn hai to  - Koi bhi "प्राचीन पद्धति" (Prachin Padti) kaam aayegi. means jese Dadi Nani ke Nuskhe.
  7. Agar 5th CSL - Mercury ke case me Laser Treatement kaam karega. 

Note: Agar apka 5th CSL Jupiter hai to jese hmne bataya apko Ayurveda suit karega but in case 5th CSL ki script me NL Venus aa raha hai to ap additionaly Homeopathy bhi le sakte hai. But Ideally apko Ayurveda suit karega.